Rahne diya na us ne kisi kaam ka mujhe

Rukhsat hua to Ankh mila kar nhi gaya
Wo kyun gaya hai ye bhi bata kar nhi gaya.
Wo Yun gaya ki baad ye saba yad aa gai
Ehsaas tak bhi hamko dila kar nhi gaya.
Yun lag raha hai jaise abhi laut aaega 
Jate hue chirag bujha ke nhi gaya..
Bas ek lakeer khinch gaya darmiyan mai
Diwar raste mein bana kar nhi gaya..
Ghar m hai aaj tak wahi khusboo bhari hui
Lagata hai yun ki jaise wo aa kar nhi gaya...
Tab tak to phool jaisi thi us ki yaad
Jab tak wo pattiyon ko juda kar nhi gaya..
Rahne diya na us  ne kisi kaam ka mujhe
Aur khak mein bhi mujh ko mila kar nhi gaya ...

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Do Qadam Uthane ka Shukriya