Rahne diya na us ne kisi kaam ka mujhe
Rukhsat hua to Ankh mila kar nhi gaya Wo kyun gaya hai ye bhi bata kar nhi gaya. Wo Yun gaya ki baad ye saba yad aa gai Ehsaas tak bhi hamko dila kar nhi gaya. Yun lag raha hai jaise abhi laut aaega Jate hue chirag bujha ke nhi gaya.. Bas ek lakeer khinch gaya darmiyan mai Diwar raste mein bana kar nhi gaya.. Ghar m hai aaj tak wahi khusboo bhari hui Lagata hai yun ki jaise wo aa kar nhi gaya... Tab tak to phool jaisi thi us ki yaad Jab tak wo pattiyon ko juda kar nhi gaya.. Rahne diya na us ne kisi kaam ka mujhe Aur khak mein bhi mujh ko mila kar nhi gaya ...